Thursday, July 16, 2009

Mohabbat hai Thartharati Absharoon main bichi thandi hawa sahna shaboon main goonjti beychainion key darmian rahna har ik mausam ko apnay andaroni mausamoon ki zad main lay ana kabhi..mil kay kisi say bekhabar ahday samander tak safar karna kabhi..tanha kisi sahil pey a kay dair tak lahroon ko ginana aur khalaaa main daikhtay rahna mohabbat hai.. kisi khoay hoa ko ghair iradi taur per har ajnabi chahray main aksar dhondtay rahna hamaysha bekhiyali main kitaboon..chandtaroon..badaloon per us kay baray main jhil milati baat likh dayna yah ... phir likh kar mita dayna kabhi rangoon ki lahroon per usay beymaut hontoon say sada dayna sada ki bazgashat aur goonj main dhal kar khalaoon main tahaydaman palattay daikhna aur phir sada dayna Mohabbat hai... main kia likhoon... kabhi aisa bhi hota hai buhat hi rooth kar naraz ho kar napasandida khiyaloon,nafratoon ki ooot say.. yah mukhtalif haylay bahanoon say kisi ko jhanktay rahna kisi ko sochtay rahna woh manay yah na manay.. bass usay likhna ... usay kahna... mohabbat hai!!!!!!

No comments: